shabnam ka ek qatra be-bahra-e-khudi tha tapka falak se shab ko aur barg-e-gul pe thahra is tarah tha chamakta hire ka jaise tukda karta tha khel us se mauj-e-saba ka jhonka rangin hua tha wo bhi jis tarah har kali thi milti thin jab bhi shakhen rah rah ke tha sanbhalta leta tha barg-e-gul par dhire se phir sahaara rang-e-chaman tha deta ek dawat-e-nazara har chand ranj-o-sadma us ko nahin zara tha lekin koi sabab tha jo wo laraz raha tha rangin hua tha wo bhi jis tarah har kali thi shabnam si zindagi kya behtar hai mar hi jaana khuddar ho jahan mein hire ka jaise tukda khurshid ka ho partaw saman khud baqa ka ban aah lakht-e-adam almas ka tu tukda hire ka ek tukda tashbih hai khudi ka