masum farishta-paikar hain hum bachche badon se behtar hain aapas mein ladai karte hain phir sulh safai karte hain dukh pahunche kisi se hum ko agar milte hain dobara phir hans kar kuchh hum ko nahin hai khauf-o-khatar rakhte hain bharosa allah par dil saf hamare man sachche hum yaksan andar bahar se masum farishton ke jaise qaumon ki amanat hum bachche hum mustaqbil ke rahbar hain hum bachche badon se behtar hain hon jin mein khasail bachchon ke wo rutbe paen waliyon ke