main ek darwaza hun rasta hawa ka nim-shab qadmon ka an-dekhi sadaon ka meri un se shanasai bahut mahdud hai lekin main un ki aahaten pahchanta hun main un ko dastakon se jaanta hun mere andar hai kya bahar hai kya mujh ko nahin malum lekin kuchh to hoga jis ki khatir koi mujh ko kholta hai band karta hai main aksar sochta hun mere pichhe bhi koi ganj-e-giran-maya hai koi be-baha nadir khazana hai jabhi to log mujh par qufl ke pahre bithate hain mujhe shab ki sada se khauf aata hai andhere ki sada-e-khamoshi se hazaron duzd-pa auham jis mein raqs karte hain aur aahat tak nahin hoti main aise dast-e-awara se darta hun jo be-elan aata hai achanak ek dastak se mere khwab-e-giran ko tod deta hai magar sab se ziyaada khauf mujh ko is se aata hai ki mera kholne wala kisi din qufl ki kunji ko kho baithega aur mujh ko hamesha ke liye diwar kar dega