zard sae jo sar-e-sahra uthe the raqs karte dandanate jhumte shahr ke diwar-o-dar ko chatte baad-o-baran se lipatte chandni raaton ki unnabi surangon mein sarakte dhup ki sadkon pe lahraate machalte tahniyon ke darmiyan sargoshiyan karte mahal ki sidhiyon tak aa gae hain aao dekhen dast-e-afi mein koi mantar bacha hai ya nahin