darwaze kya hote hain kya darwaze bahar jaane ke liye hain ya sirf andar aane ke liye darwazon ka durust masraf samajhne se falsafi qasir rahe hum tamam umr in ki haqiqat se na-ashna rahe hamein malum na ho saka aur darwaze hamare andar se kharij ho gae ya shayad apne hi andar dakhil ho gae dakhil aur kharij hone ki bahs jari thi ki darwazon ko dawam bakhsha ja sake lekin darwazon ki khud-kushi se mudawmat ki maut waqe ho gai