barishen us ke badan par zor se girti rahin aur wo bhigi qaba mein der tak chalti rahi surkh tha us ka badan aur surkh thi us ki qaba surkh thi us dam hawa barishon mein jangalon ke darmiyan chalte ho bhigte chehre ko ya us ki qaba ko dekhte bans ke gunjaan raston pe kabhi badhte hue us ki bhigi aankh mein khulti dhanak takte hue aur kabhi pipal ke gahre surkh sayon ke tale us ke bhige hont pe kuchh titliyan rakhte hue barishon mein bhigte lamhe use bhi yaad hain yaad hain us ko bhi honton pe saji kuchh titliyan yaad hai mujh ko bhi us ki aankh mein khulti dhanak