kya tum wo udasi dur kar sakte ho jo sare aaine tod dene ke baad diwaron mein ghus jati hai kya tum wo dhuan bahar nikal sakte ho jo sari tasawir jalane ke baad halaq mein bhar jata hai kya tum us gul-dan ko jod sakte ho jo kisi jaane wale ne hath se gira diya ho kya tum wo aawazen wapas la sakte ho jo kisi mod ke aaghaz par ghaeb ho jati hain kya tum koi aisi chiz ijad kar sakte ho jis se main daryaft kar li jaun