kya kya manzar dekh rahi hain aankhen meri kab se un ujle shishon par sae larzan hain kuchh dhundlae manzar armanon ki jadu-nagri se sine ki tariki se jugnu ki manind jhalakte rahte hain rang badalte rahte hain band agar ho jaen ye aankhen sare manzar sare pas-manzar be-alfaz bayan ki surat ek kore kaghaz mein dhal kar (yaksar rup badal kar) thahri thahri aankhon ki tanhai mein kho jaenge dasht-e-adam ka sannata ho jaenge