ek din waqt ka jhulsa hua maila chehra ek dil-afroz jila paega sarguzisht-e-gham-e-dauran ka musannif ek din sari na-gufta hikayat ko jaega wo dil-aram se mausam wo khunuk wadi-e-rang jin ki khushbu pe ijara raha saffak sitam-ranon ka jin ke phulon mein phalon mein tha lahu saikdon jaan-sokhta insanon ka ab wo tarikh-e-zubun waqt na dohraega wo pasina jo tapakta hai thake aur tape jismon se mere ehsas ke mathe pe nami hai jis ki ek din ru-e-zamin ka wahi ghaza ban kar apni khoi hui mehnat ka sila paega aur shaddad-sifat gham ka bhayanak aaseb maut ke ghat utar jaega