tujhe yaad karte karte teri rah takte takte mere ajnabi musafir kai din guzar gae hain koi sham aa rahi hai: koi khushnuma sitara jo falak pe hans raha hai kisi mah-jabin ki surat jo nazar ko das raha hai wahi ek istiara teri yaad rahguzar par mera ham-safar bana hai wahi ek ziya salamat sar-e-sham tirgi mein mere kaam aa rahi hai mere raste ke aage kisi raat ka guzar hai kahin wahm sar-ba-sar hai kahin khauf ka asar hai kahin sarsarahaten hain kahin jhunjhunahaten hain nahin dasht-e-hu mein aahu nahin jangalon mein jugnu teri yaad wo khilauna jise tod bhi na paun kahin chhod bhi na paun abhi nisf shab hai guzri tujhe yaad kar raha hun tere khwab dekhta hun yahi jism hai bichhauna isi jaan ko odhna hai hui subh dar pe dastak tere khwab ja chuke hain teri yaad bhi hai rukhsat nai aarzu khadi hai nae log mil gae hain mere samne hazaron nae kaam aa pade hain isi darmiyan tasawwur tera bar bar aaya isi raste pe jaanan koi sham phir hai aai teri yaad nur-paikar teri qurbaton ka saya kahin tirgi mein gum hai main azan de raha hun kisi dasht-e-be-aman mein