is tarah se khafa hue jaanan jaise main ne bada gunah kiya jaise mandir ko dah diya main ne jaise masjid kahin girai ho jaise ek shahr-e-jaan tabah kiya han teri baat ek nahin mani tere bahrup se raha shikwa han tera dil faqat nahin rakkha han yahi ek khata hui mujh se teri jannat se ho gaya mahrum warna kya kya nahin kiya main ne tujh ko har sans mein jiya main ne kat li zindagi saza ki tarah han yahi ek gunah hai jaanan jis ka main e'tiraf karta hun