dasht-e-tamanna

tishnagi
tishnagi aur tishnagi

jaane kab tak
tishnagi sar phodti dasht-e-tamanna mein rahi

rah mein yun to kabhi aaya sarab
wahime ka

nazariye ka
falsafe ka

aur kabhi
rahguzar-e-shauq mein

karbala bhi aa gaya
thi jahan jari furaat-e-zindagi

tishnagi ke lab magar
ek ek qatre ko bhi tarsa kiye

ho ke phir taswir-e-yas
tishnagi ne noch dale apne baal

apne chehre ko bhi zakhmi kar liya
aaj lekin

khud furaat-e-zist ne
rakh diya hai apna sar

tishnagi ke panw par
mahki mahki si hawa hai

ruh-parwar hai saman
khil rahe hain

phul lab par
baj rahi hain

chaar-su shahnaiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close