ghaza

lahu aaj phir bah raha hai
zamin to zamin aasman surkh hai

dayar-e-ashoka mein phir raqs iblis ka hai
chaman-zar-e-gautam mein hain chaak-dar-chaak kaliyan

zaban 'mir'-o-'ghaalib' ki ab kushtani hai
nigar-e-watan dar pe jamhur ke sar-nigun hai

magar ai shahidan-e-urdu
tumhaara lahu

charagh-e-sar-e-rahguzar hai
mata-e-giran bahr-e-fikr-o-nazar hai

payam-e-tulu-e-sahar hai
tumhaare lahu se

lab-e-waqt par aa gaya hai tabassum
anadil ne paya hai zauq-e-tarannum

zaban-e-khamoshi ne sikhi hai tarz-e-takallum
yaqin hai

lahu ye tumhaara
rukh-e-'mir'-o-'ghaalib' ka ghaza banega

jabin-e-watan par
ye chamkega sindur ban kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close