dashta

raat dhundli tirgi namnak ghas
thahri thahri muzmahil phulon ki bas

tanha udas
bagh ki dil-sard khamoshi se dur

an-ginat taron ka be-tartib nur
saman-e-tur

uth rahi hai jaise mauj-e-nim-tab
kahkashan ye barha dekha sarab

manzil ka khwab
phul kar apni tamanna ka maal

gosha-e-dil mein wahi zohra-jamal
laya khayal

jis ne wa ki mujh pe chashm-e-iltifat
mujh ko samjha apni sari kaenat

har talkh raat
aaj us ki dilkashi pitti lakir

us ki badhti tirgi ka ham-safir
mera zamir

dekhta hun phir nujum-e-khush-khiram
jaane kab tak lega mujh se intiqam

ye husn-e-baam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close