dast-e-saqi se phir ek jam gira

gul-o-tabassum-e-rangin ka ab gila na karo
bahut udas chaman se nasim guzri hai

na jaane kaun si wadi se ho ke aai thi
qaba-e-gul se ulajhti do-nim guzri hai

ghazab hua bhari mahfil mein dast-e-saqi se
mai-e-shabana se labrez jam chhut gaya

udas udas hai sher-o-adab ka mai-khana
ki aaj saghar-e-rangin ek aur tut gaya

bhari bahaar ke din the ki uth gaya koi
nigah-e-shauq mein sau hasraten chhupae hue

guzar gaya koi chupke se muskuraata hua
khud apne kandhon pe lash-e-wafa uthae hue

utha kiye hain yunhi mai-kade se diwane
hum apne dil pe yunhi dagh sahte aae hain

ise nazakat-e-saghar kaho ki tundi-e-mai
shikast-e-jam ko hum maut kahte aae hain

kahan wo daur ki saqi ki bazm-e-rangin mein
urus-e-zohd ko bakhshi gai qaba-e-sharab

kahan ye daur ki mahfil mein jam-e-rangin se
chhalak raha hai lahu hi lahu bajae sharab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close