dawam ke dayar mein

dawam ke dayar mein
dawam ke qadim reg-zar mein
adam jahan sarab hai
tere mere kai nishan tadap tadap ke mar gae!
ek ajnabi si khak par kai zaman bikhar gae
is ajnabi si khak par
sab apni apni sans ko samet kar nikal pade
alil si najat mein phir apni ruh phunkne
najat ek fareb hai
ye dasht intizar mein
dawam ke qadim reg-zar mein
jihat ka ek mazar hai
ki jis ke gumbadon ke hont par yahi pukar hai
najat ek fareb hai
najat ka hisar kya?
dawam apni maut hai
dawam se farar kya?
This is a great dard tadap shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close