mujhe aaj mahsus yun ho raha hai ki main mar gaya hun mera nam kuchh bhi ho main aam sa aadmi is se kuchh farq padta nahin ek ehsas ke mukhtalif nam hain sari duniya mein jo shakhs duniya se uttha hai wo main hun main jis ne dekha hai har shakhs mein khud ko marte hue mujh ko jis tarah chaho pukaro ki wo marne wala to main hi hun logo shahadat se badh kar meri maut be-laus hai aur kisi ka mere pas kuchh bhi nahin jab bhi aaya hun tum sab mein tum ban ke zinda raha aur duniya se jate hue sath sirf apna gham le gaya gham jo duniya mein main ban ke phir aaega