yahan gorich chalti hai to jaise ruh chhilti hai zamistan aa ke rukta hai to ek ek rome dikhta hai tajjub hai mujhe pal pal ki ab ke sal wadi mein hamari shaal wadi mein sunahri dhup ab tak parbaton par raqs karti hai abhi tak sans ki hiddat labon ko garm rakhti hai ragon mein khun ka dauran ab tak hai dopahron sa khizan ke zard chehre par shararat ab bhi baqi hai abhi patton ne apne atlasi jame nahin badle sisakti aur darti shamen ab tak muskuraati hain kyun ab tak titliyan phulon pe aa ki khilkhilati hain abhi nilahaten baadal ke dhoke mein nahin aain abhi tak naddiyan kohre ke qabze mein nahin aain guzishta sab mahinon ko yahan sare makinon ko ajab ye fikr lahiq hai ye apne sard lahje mein abhi tak kyun nahin bola ye us be-dard lahje mein abhi tak kyun nahin bola december aa gaya hai kya