december chikhta hai jab ragon mein lutf se aari pareshan mahfilon mein mujh ko wo badnam dushman yaad aata hai jo mere khun ka pyasa gali se jab guzarta tha mere aasab mein ek sansani si daud jati thi main is lamhe ki barham aag mein jalta hua mahsus karta tha main zinda hun musalsal hun main zinda hun musalsal hun wo dushman mar gaya ya doston aa aa mila mein sochta hun puchhta hun kaun batlaega mere fikr aur ehsas ki be-samt rau bahti hai roz-o-shab december chikhta hai ab kahan manzil kahan manzil