aahani darakhton se sar patakti hui wo ek raat siyah shabdon se tapakti hui doshizgi ke ehsas se be-niyaz kale khun mein nahai kunwari bewa ki manind pikdan ke jhag mein lat-pat padi rahi jis ke nahif ghutnon se chipke shikasta sanson ke chhote chhote tukde talkh udasiyon ke mel ki daradon par kunda safar ki uljhanon ke pile sitam cigarette ke phailte dhuen mein lipte barahna khwab ke reshmin badan par bikhri tamam tar sanginiyan sametne ke baad algos aur odine se sharab mangte to tishnagi ke gahre sarab chhalakte wo tishnagi raat ke surkh lothdon mein kis tamazat se hansi wo ek raat darakhton se sar patakti hui