main jine ki tamanna le ke uthti hun magar jab din guzarta hai sunahri dhup ki kirnen kisi dariya kinare par utarti sham ke bikhre hue chamkile baalon se lipat kar sone lagti hain hawa bezar ho kar phir thake panchhi ki banhon mein simat kar baith jati hai zamin ka shor bhi tab rafta rafta mand padta hai falak ke aakhiri kone pe jis dam kuchh syahi jhilmilati hai sitare surmai se aasmanon ki bichhi chadar pe aise baith jate hain ki jaise dubte suraj ki mayyat par sipare padhne aae hon tabhi ehsas hota hai ki goya zindagi bas ek din ki thi