kisi ne chehra hamara kabhi padha hi nahin kisi ne nam hamara kabhi liya hi nahin tumhaari bazm mein hum bhi sharik rahte hain hamara haal kisi ne kabhi suna hi nahin buland-o-bang ya dawe ye dosti ke usul amal ke nam se khali rahen to sare fuzul kabhi to pas-e-adab ho wafa-shiari ka dil-o-nazar mein ho jazba khulus-kari ka agar ye baat nahin hai to roz ka milna zamane-bhar ke masail pe guftugu karna bas apne-ap ko ek ba-khabar samajh lena dikhawa jhut tasanno fareb-kari hai hamare dil pe usi gham ka bojh bhaari hai