darwaze pe jo aankhen hain aankhon mein jo sapne hain un sapnon mein jo murat hai wo meri hai darwaze ke bahar kya hai ek rasta hai jis par meri yaadon ka shahr basa hai mera rasta dekhne wali un aankhon ka jal bichha hai mujhe pata hai lekin un aankhon ko kaise main ye baat bataun har raste pe itni bhid chalna mushkil ho jata hai aawazon ke is jangal se bachna mushkil ho jata hai dukh ka aisa lamha aata hai hansna mushkil ho jata hai jab aise haalat khade hon qadmon mein zanjir ki surat raushniyon ke sae pade hon aise mein dil un aankhon se ek hi baat kahe jata hai der-sawer to ho jati hai