dehli ki sair

aao bachcho sair karaen
bhaarat ka dil tum ko dikhaen

bhaarat ka dil kya hai bolo
duniya dekho aankhen kholo

har lab par hai jis ka fasana
dehli hai wo shahr purana

shahar ki jis mein 'mir' ne gae
ranj-o-khushi ke dilkash naghme

shahr ki jis mein 'ghaalib' ne bhi
chhedin shirin ghazlen apni

shahr ki jis mein shah 'zafar' ne
ghazlen likkhin likkhe nauhe

dehli jo hai shahr purana
bachcho wo hai dil bhaarat ka

wo sambhla to hum bhi sambhle
wo bigda to hum bhi bigde

shahr nahin tahzib hai dehli
shan-e-watan hai is se baqi

aao is ka rup dikhaen
bachcho tum ko sair karaen

lal qila hai samne dekho
mughalon ki tarikh ko samjho

mazi ki taswir hai is mein
khwabon ki tabir hai is mein

waqt ka ek aaina samjho
sham-o-sahar ka rup bhi dekho

akbar ki talwar yahan hai
nur-jahan ka haar yahan hai

aalamgir ki masjid dekho
fan ka namuna us ko jaano

duniya mein ek jannat hai ye
apne watan ki daulat hai ye

lal qile se bahar aao
masjid hai ek samne dekho

hai ye nishani shah-jahan ki
dil ka sukun daulat hai yahan ki

aao chalen ab birla mandir
basti dekhen prem ki ja kar

ye hai dekho jantar-mantar
dekh ke is ko aql hai shashdar

chaho tum to waqt batae
grahan ka bhi rup dikhae

sadr ka aiwan hai ye dekho
ek gulistan hai ye dekho

bagh-e-mughal hai is ke andar
apna guzar hai is se bahar

ye hai samadhi gandhi ji ki
dur nahin hai shanti-wan bhi

ruh-e-chaman khamosh yahan hai
khak-e-watan gul-posh yahan hai

bachcho chalen ab mehrauli bhi
dekh aaen hum lat qutub ki

us ke chaaron aur khandar hain
pahle waqton ke ye nagar hain

ambar is se apni zamin hai
hum ko bhi kam fakhr nahin hai

mana dehli dekh li tum ne
sair bhi kar li kafi tum ne

mil lo khilaune se bhi chal kar
samne hai wo us ka daftar

bhai jo ilyas hain apne
kar lo tum sab darshan un ke

yun to chizen aur hain lekin
dekhna un ka kab hai mumkin

bachcho tum to thak bhi gae ho
waqt bhi kam hai ab ghar lauto


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close