devta

main jaanta hun
tumhein meri aarzu nahin hai

talab meri aankh mein machal ke hi itni arzan hui hai warna
main apne daman mein zat ki kirchiyan samete

khanakti muskan bhik lene
tumhaare raste mein roz apna sawal aankhon mein le ke baithun

ye khu meri to nahin thi jaanan
main jaanta hun tum is qadar dewta to ho hi

ki dil ke haalat jaante ho
sawal lab pe na aane pae

dua ko harf-e-qubuliyat bhi ata karo tum
tum is qadar bhi khuda nahin ho

main apne daman ka kul asasa mila ke mitti mein hath jodun
aur apne hone ki bhik mangun

main is qadar aadmi nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close