izhaar-e-mohabbat ek pahaDi rasta hai

use bas ek hi zid hai
main us ki zat se mansub

apne khayalon ka koi paikar tarashun
aur us ke samne rakh dun

use batlaun main us se mujhe kitni mohabbat hai
use kaise bataun main

zamin se aasman tak is muhit-e-be-karan ko
apni mutthi mein jakadna mere bas mein hi nahin hai

mere sar par chamakte mehrban suraj ki kirnon ka
koi bhi goshwara ban nahin sakta

zamin ki god mein kitne samundar hain
kinaron par namida ret ke zarraat hain

main un ko adadi dastaras mein kis tarah kar lun
bhala main la-makan ki wusaton ko

is makan mein kis tarah laun
jo qudrat ne hamesha an-kaha rakkha

us ko kis tarah kah dun
ki titli ko pakad lene ka

khushbu ko jakad lene ka
fan mujh ko nahin aata

use kaise bataun main
ki izhaar-e-mohabbat ek pahadi rasta hai

aur choti tak pahunchne ka mujhe gur hi nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close