jaane kaise aur kab hawa ko pata chala us dhabbe ka jo chhupaya gaya na dhoya jise ta-umr chhupane ke liye wo numayan hui wo ek lakir jo bakht mein likhi gai ain wast mein badan ke khinchi gai us ki beti ab tak ye sochti hai ye kis karam ka phal hai kis jurm ki saza