aadmi ka waqar ilm se hai zindagi ki bahaar ilm se hai ilm se bahra-war jo hote hain nekiyan wo zamin mein bote hain ilm hai raushni charagh hai ilm dil ki dhadkan hai aur dimagh hai ilm hain jo ilm-e-kitab se mahrum un ko duniya mein kuchh nahin malum un ka jina bhi hai koi jina aankh to hai magar hain na-bina jahl zulmat hai raushni hai ilm maut andhera hai zindagi hai ilm jaise khushbu har ek gulab mein hai ilm bhi band har kitab mein hai ye kitab aisi ek kheti hai kuchh na kuchh aadmi ko deti hai ilm se phul dil ka khilta hai aagahi ka suragh milta hai jaante hain jo padhne wale hain in kitabon mein band ujale hain duniya bhar ki zabanen boltin hain zehn ke dar kitab kholti hain jo kitabon se dur rahte hain umr bhar be-shuur rahte hain sach to ye hai kitab hai bhai sab se behtar rafiq-e-tanhai mera 'ejaz' mashwara hai yahi tum bhi ja kar padho kitab koi