Dhalti raat

kaun jaane ki abhi raat hai kitni baqi
umr-e-hangama-e-zulmat hai kitni baqi

abhi har samt dhuan-dhaar ghata chhai hai
pad rahi hai abhi aakash se tarik phuwar

abhi zindan-e-khamoshi ke siyah hujre mein
sun raha hun kisi nagin ki musalsal phunkar

khauf se dubke hue baithe hain sadha panchhi
tah-ba-tah shakhon ki tarik guphaon mein abhi

sans lene pe hain majbur sulagte hue rag
ek fusun-kar khunuk khwab ki chhanw mein abhi

aalam-e-yas mein hain ped abhi mahw-e-dua
jaanib-e-charkh uthae hue apni bahen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close