ek kutta jhadiyon mein la-waris nau-maulud bachche ki hifazat kar raha tha ek man apne nanhe bachche ke gal par kajal ka tika laga rahi thi ek masum bachche ki ungli pakad kar ek budha aur na-bina shakhs sadak par kar raha tha ramish-o-rang mein dubi hui baraat mein handiyon ko apne saron par mazdur uthae hue the meri aankhon mein aansu the aur palan-haar tu mujhe yaad aa raha tha dahi biloti hui mushfiq man ke honton se shahd mein gundhe hue kajri ke bol phut rahe the sarkanda hath mein liye hue nang-dhadang charwaha birha ki tan laga raha tha suraj ki narm kirnon ke jhaale mein dariya kinare sohni bartan manjh rahi thi punam ke hindole par charkha katti hui dadi man ko bachche dhund rahe the meri aankhon mein aansu the aur palan-haar tu mujhe yaad aa raha tha faza ke soup mein dhup ko pachhorti hui hawa mere khaprail mein amrit undel gai thi gehun ki hari baaliyon rai ke ujle bhulon sarson ki nili chunriyon aur alsi ki nili odhniyon ko dekh kar mere abba ki budhi aankhon se jugnu girne lage the nau-maulud bachhde ke jism ko chatti hui gae pahlu mein ghas liye khadi hui meri aman ko kanakhiyon se dekh rahi thi meri baji apne hisse ka basi dal bhat bhuki billi ko khila rahi thi meri aankhon mein aansu the aur palan-haar tu mujhe yaad aa raha tha