main ek sang-e-mil hun har musafir meri jaanib dekhta hai la-shuuri taur par aur apne zehn mein rakkhe hue har qadam taskhir-e-manzil ka khayal badhta jata hai wo apni rah par bebasi ka meri aalam dekhiye jamid-o-sakit hun main apni jagah kyun ki main ek sang-e-mil hun jaane kitne log guzre aur guzrenge isi ek rah se har kisi ko apni manzil ki hai dhun koi hansta aur koi rota hai koi apni fikr mein duba hua tund tufan ki tarah badhta koi ladkhadate panw aur thakan se chur jism sab ke chehron ka tassur dekhta rahta hun main har musafir ke tain sochta rahta hun main aksar yahi us ki manzil us ko mil paegi kya