mera aansu mujhe wapas de do ab main aansu na bahaunga kabhi main ye moti na lutaunga kabhi ye bhi dekho ki hain is bund mein kya rang chhupe sochta hun ki dhanak hai ye bhi is mein hai khun-e-jigar ki surkhi hai mere chehra-e-ghamnak ki zardi us mein dard ki nilgun lahron ki tawanai hai dil ke talab pe lahraati hui gulguli kai ki sabzi bhi to hai us mein naranji shagufon ki udasi bhi to hai ude baadal ki larazti hui parchhain bhi hai mere mahaul ki tarik safedi bhi to hai mera aansu mujhe wapas de do main ye moti na lutaunga kabhi