tarikh ke bune hue thailon mein hamesha koi be-had aham chiz rah jati hai be-shak hawaen azim-tarin sanna hain un kharabon ki jo naqsh hain be-rangi ke sath ek pur-asrar ghair-maruf andhere ki dabiz diwaron par lekin aankhen aise pechida manzar ko sehhat aur saqahat ke sath naql nahin kar saktin khwah binai ki kisi bhi qabil se ilaqa rakhti hon ab bilkul naya tanazur zaruri hai is na-didani se ohda-bara hone ke liye warna dekhna ek ahmaqana tasawwur hai jise bas aankhen hi manti hain