pahadi ke us par koi dhanak hai nahin hai dhanak ke sire par koi jadu-nagri paristan khazana mera muntazir hai nahin hai mujhe koi dhoka nahin hai samundar ke us par se aane wali hawaon mein koi sandesa nahin hai agar kuchh nahin hai to sari tag-o-dau ye imroz-o-farda ke sab silsile kis liye hain ufuq se pare margh-zaron ki aakhir hadon tak pahunchne ki khwahish sarabon ke dhundle hayulon ka pichha ye sab kis liye hai kisi khwab ki koi surat nahin hai khushi koi tohfa nahin jo christmas ki shab koi chupke se de jaega main elis nahin hun alif-lailwi shahzadi nahin hun main 'azra' hun aur mere aur zindagi ke talluq se jo bhi hai duniya mein wo asliyat hai meri shairi git sangit sab dil ke mausam chahne chahe jaane ki khwahish mein rishton ki sanginiyan kuchh rifaqat ke anmol moti mohabbat ki shabnam mein dubi hui adh-khili zard kaliyan buzurgon se pai hui sab muqaddas duaen zindagani ki sab dhup chhanw khazana hai mera dhanak-rang mujh mein samae hue hain