sham ke daman mein pechan nim-afrangi hasin nuqrai paron mein ek sone ki lag rah guzar mein ya khiraman sard aag ya kisi mutrib ki le ek tishna takmil rag ek bahr-e-be-karan ki jhilmilati sath par zau-fagan afsana-ha-e-rang-o-nur nile nile do kanwal maujon se chur bahte bahte jo nikal jaen kahin sahil se dur chand si peshaniyon par zarfishan lahron ka jal ahmarin udta hua rang-e-sharab jam gai hain asha-e-sad-aftab gardanon ke pech-o-kham mein ghul gaya hai mahtab ishrat-e-parwez mein kya nala-e-ha-e-tez-tez ud gaya din ki jawani ka khumar sham ke chehre pe laut aaya nikhaar ho chuke hain ho rahe hain aur daman dagh-dar us ka zarrin takht simin jism hai aankhon se dur jam-e-zahr-alud se uthte hain jhag chaunk kar angdaiyan lete hain nag jag 'antoni' mohabbat so rahi hai jag jag