dhanak

phir aaj mere tasawwur mein motiya jaga
phir aaj sabz pari utri chhamchhamati hui

phir aaj daliyan phulon ki raqs karne lagin
phir aaj khushbuon se baam-o-dar mahakne lage

phir aaj phail gaya ruh-o-dil mein sail-e-jamal
asar na dard ka baqi raha na gham ka khayal

phir uttha chidiyon ka ek jhund chachahata hua
hawa hare bhare kheton se utthi gati hui

main dekhne lagi sunne lagi nikharne lagi
chahakne lag gai sajne lagi sanwarne lagi

wo mera ganw ka ghar lal lal khapre ka
phir us ki olti se thandi dhaar girne lagi

wo thandi dhaar meri ruh mein samane lagi
bhigone lag gai mujh ko

main khilkhilane lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close