chana jor garam

dekhiye aaj ka akhbar chana jor garam
tez election ka hai bazar chana jor garam

aa gae qaum ke gham-khwar chana jor garam
lag gaya wadon ka ambar chana jor garam

khub khul khelne ka mausam-e-rangin aaya
panch barson ka hai bewhaar chana jor garam

ghar se bahar jo nikaliye to har ek nukkad par
suniye taqrir dhuan-dhaar chana jor garam

mukhtalif qism ke naron se gali kuchon ke
gunjte hain dar-o-diwar chana jor garam

khwancha sar pe liye chikh raha hai har dil
hai mera sab se mazedar chana jor garam

dal-badal jitne hain kahte hain ye sina tane
hum hain 'ghaalib' ke taraf-dar chana jor garam

note jo dega usi samt ye jhuk jaega
apna iman hai lachak-dar chana jor garam

banda-o-sahab-o-muhtaj-o-ghani ek hue
hai ajab wote ka byopar chana jor garam

ek pur-ashob zamane ki hai aamad aamad
hain bure waqt ke aasar chana jor garam

kal jo qatil the wahi aae masiha ban kar
rahiye in logon se hushyar chana jor garam

aah janta ka muqaddar nahin badlega kabhi
bane jis dal ki bhi sarkar chana jor garam

is election ke zamane mein bhi tu ne 'asrar'
kya khilae gul-e-ashaar chana jor garam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close