mulzim pakadne mein jo maza hai is se zyaada shayad mujrim hone mein hai ghaar ke andar kya hai ghaar ke bahar se sochna achchha nahin lagta purane patthar par kanda usul jaanne ko bhukon ka hissa kharch karna kya zaruri hai ridh se laga pet ashlok se nahin bharta itna jaanne ko ghaar mein jaana kya zaruri hai tum zara socho main ghaar ho kar aata hun