jahil faisla

main haar gaya
tum jit gae

kitni sada si musawat hai
bas yahi tai karne ko

hum sadiyon jhagde
badalte waqt ke sath chalne ki khatir

apne hi banae
farsuda qanun

hum se aade na gae
hazir sach ko

sach manne mein
kitne sach

ghalat thaharte hain
aur pahle ye man lete

mil baithte
tai karte

jo aaj hua
guzre kal mein hota

khair ab aao
bahar munjamid hujum ko

tarikhi faisla sunaen
ye achchhe log

sadiyon se soe nahin
surkhiyan badalne ke intizar mein

ji mar rahe hain
logo

suno
hum mein faisla ho gaya hai

aakhir-e-kar
is sach ko

sach mana gaya hai
taliyan pitte pitte

thak jao
to gharon ko lauto

din ke ujale mein
mitha banto

ki khatra tal gaya hai
sadiyon se

jo khatre mein tha
ab khatre se bahar hai

faisla ho gaya hai
ki taraazu paldon mein

hum
ham-palla

ham-wazn
jahil hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close