jazbon ki ladai mein jab kabhi ehsas par war ho jae sab be-kar ho jae duaon ka ek muqaddas silsila aasmanon se apna nata tod dale waqt hum ko wahshaton ke hawale kar ke chup-chap rukhsat ho jae aur muqaddar bhi panah dene se munkir ho jae to ye sab faqat is baat ka ishaara hai ki khud se be-khabar ho kar jo lamha aaluda kar ke hum ne falak ki taraf uchhaala tha aaj wahi lamha aasmanon se fatwa le kar hum par hukmarani karne aaya hai