charagh ne phul ko janm dena shurua kar diya hai dur bahut dur mera janm din rahta hai aangan mein dhup na aae to samho tum kisi ghair-abaad ilaqe mein rahte ho mitti mein mere badan ki tut-phut padi hai hamare khwabon mein chap kaun chhod jata hai raat ke sannate mein tutte hue charagh raat ki chadar pe phailti hui subh main bikhri patiyan uthati hun tum samundar ke daman mein kisi bhi lahr ko utar jaane do aur phir jab insanon ka sannata hota hai hamein marne ki mohlat nahin di jati kya khwahish ki miyan mein hamare hausle rakhe hue hote hain har wafadar lamha hamein chura le jata hai raat ka pahla qadam hai aur main paidal hun baisakhiyon ka chand banane wale mere aangan ki chhanw lut chuki meri aankhen mare hue bachche hain aur phir meri tut-phut samundar ki tut phut ho jati hai main qarib se nikal jaun koi samt-e-safar ki pahchan nahin kar sakti sham ki tuti munder se hamare talatum pe aaj raat ki tartib ho rahi hai musafir apne sang-e-mil ki hifazat karta hai charagh kamra napta hai aur gham mere dil se janm leta hi hai zamin hairat karti hai aur ek ped uga deti hai