sham dulhan ki tarah apne rangon mein nahai hui sharmai hui baithi hai gosha-e-chashm se kajal ki siyahi abhi aansu ban kar bahte ghaze mein nahin jazb hui abhi koi nahin baalon ki dil-afroz pareshani mein muskuraati hui sindur ki mang ghulte rangon mein abhi kahish-e-jaan baqi hai ghulte rangon ka koi kya jaane kab miten kaise miten shab ki tarikiyan har samt bikhar jaen to aaram mile ye chamakte hue zarre zamin zauq-e-tamasha na rahe koi tamanna na rahe ek kiran chhod ke jati hi nahin chashmaken karti hui khel rahi hai ab tak zard-ru ghas ke sine pe thirakti hui badh jati hai sang-rezon ki nigahon mein chamakti hui laut aati hai koi samjhae use jao chalo jao yahan ab kya hai dhup ke kanpte sayon ko zara badhne do shab ki tarikiyan chha jaane do main ne sau bar kaha ek na mani us ne muskuraati hui shakhon pe larazti hi rahi yun bhi tadpane mein ek lutf to hai soz to hai rang ghulte hi khilenge aakhir ghulte rangon ka koi kya jaane kab haten kaise miten apne rangon mein nahai hui sharmai hui sham dulhan ki tarah baithi rahi baithi rahi