dhup

chhat se utri main
to phir diwar pe aai

aur achanak chham se kud padi aangan mein
patton ki peshani chumi

phulon se sargoshi ki
aanchal se kuchh khel kiye

phir baith gai aangan mein baithi
dadi man ki god mein ja kar

pas ghade rakhe the kuchh
gori mitti ke

un par ja kar baith gai kyunki pyasi thi
lekin ye kya ghade hatao dhup aa gai

gunj uthi aawaz aangan mein
aur kisi ne ghade hatae

main pyasi hi wapas aai
soch rahi thi

main nikli thi pyar bantne
phir bhi kyon main pyasi hun

pyar bantne wale kya
yunhi pyase rah jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close