mera rasta qabristan se ho kar aage jata hai is raste se aur bhi log guzar kar aage jate hain lekin mere sath hi aakhir sae se kyun rahte hain mere man mein aakhir kaisi virani qabron ki hai raat ki khamoshi mein jhengur ki hain kaisi aawazen kuchh din se mitti ki khushbu kyun chipki hai sanson se mere panw khak se lag kar kis ka matam sunte hain mera diwaron ke andar dam kyun ghutne lagta hai mere sar par bojh hai kyun katbon par likkhe harfon ka mujhe agar ki khushbu kyun aati hai apne andar se kyun meri aankhon mein kadwe tel ka dip sa jalta hai mera sina phulon se kyun bojhal hone lagta hai kyun is raste par chalte main khud se puchhne lagta hun main qabron ke andar hun ya qabren mere andar hain