baat kahna nahin aati mujhe likhna nahin aata satr kahne ka hunar nazm banane ka saliqa baat karne ka qarina mujhe kuchh bhi nahin aata koi surat fan-e-arz-e-hunar aa jae mujhe bhi sham ko sham kahun aur nigahon pe andhere utar aaen subh ko subh likhun aur pas-e-satr-e-tapan dhup-bhara din nikal aae kal bhi tasir-e-tahi tha mera daman-e-sukhan aaj bhi tasir-e-tahi hai mera daman-e-dua sar-e-darbar-e-ata aaj bhi faizan-e-talab hai mere maula tera banda tere ikram ke laeq nahin lekin mera bachpan tere inam ka shaeq hai abhi tak kya kahun koi bhi shai asl pe qaem nahin rahti baat pairae ke sahra mein nikal jae to ghar laut na pae istiare ki zaban chatne aa jae mere ijz ki shokhi mere jazbon ki hararat mere lafzon ki basarat har kinaya mere tapte hue jazbaat-e-tapan rakh ki jhilli ki tarah ot mein le le saf-shaffaf tapan rakh ki chadar haule haule mere jazbaat ke sar tak sarak aae mere maula mera fan bhi meri be-jaan mohabbat ki tarah nam se tahi hai phir bhi ai malik-e-izzat jaane kyun mere gul-andam murabbi mujhe chhune pe raza-mand nahin hain jaane kyun mere gul-andam ko dar hai rakh ke dher mein shayad koi jazba abhi zinda ho aur is dast hina-rang ki poren na jhulas de lafz bhobhal ki tahen hain aatish-e-jazb kahin sarw-e-falak-bos ka daman na jala de mere maula mujhe kuchh bhi nahin aata baat karne ka hunar sher sunane ka saliqa mere waris mera sina tera ghar hai mere mohsin tera ghar bab-e-kusha hai koi aae mera dil bab-e-kusha hai lafz bhobhal ki tahen hain sach to ye hai meri bhobhal meri be-jaan mohabbat ki tarah gham se tahi hai