tum mere koi nahin aur ye nannhi si jaan kaun hai? koi nahin main bhi tum donon ko shayad ajnabi lagta hun shayad kuchh nahin ain-mumkin hai ki roz-e-hashr ke imkan se hi qabl hum apne apne raston par roz o shab chalte hue reg-e-na-malum ke tufan mein aise bichhden phir kabhi na mil saken ye jo lamha bakht mein likkha hai hum sab ke khuda ne qurb ka, rang-e-tamazat ka, lahu ke rang ka kash us lamhe mein hum band kar len apni aankhon mein hasin chehre shagufe qahqahe, raushan sitare lahlahate jism mauj-e-barq shoalon ka tamawwuj maut ke, takhliq ke asrar sab khana-e-maujud un sab ke liye ab hamare dida-e-tar ke siwa kuchh bhi nahin rasm-e-rukhsat bhi kabhi hogi magar lamha-e-benam ki tahwil mein ghar, ye sach hai, mukhtasar hai is fana-anjam jalte mukhtasar ghar ke siwa kuchh bhi nahin