kyun nahin sone dete mujh ko jab zinda tha tab par bhi yahi karte the yahan to sukun do mujhe har roz chale aate ho dafnane ek murda lash ko zinda kar jate ho abhi to gala nahin main puri tarah suna hai kuchh din mein khod kar mujh ko ek chhote bakse mein bhar doge ab yahi bacha hai murdon ko bhi chain ki sans na lene dena wo jo cross mere sine par lagaya hai hata do use chubhta hai mujhe karwat bhi nahin le pata kyunki jagah kam hai yahan pados ki qabr mein ek naya musafir aaya hai bada khush-mizaj hai kahta hai ye zindagi jine mein bada maza aata hai ab mana kar do logon ko na jalaya kare mom-batti us ki pighalti bunden jab girti hai mere upar to chhaale nikal aate hain chalo ab chalta hun aaj sari raat jag kar kat di chalo ab chal kar sota hun