shikasta diwar-o-dar pe sabza bahaar ke rag alapta hai siyah darzon mein ghas ke zard nim-jaan phul hans rahe hain main apni viran khizan-zada zindagi se begana ho gaya hun thirak rahi hai fasurda honton pe ek sakun-bar muskurahat jo mujh ko mujh se chhupa rahi hai main hans raha hun main kho gaya hun kisi ko hamwar sath ki tah mein tund lahron ka kya pata hai