meri nazar mein hai ab tak wo sham wo mahfil wo ek hujum-e-tarb wo nashat-e-naghma-o-nur sharir ladkiyan rangin titliyan betab labon pe gul-kada-e-guftugu khilae hue wo qahqahe wo masarrat ki nuqrai jhankar aur is hujum mein tum jaise gulsitan mein bahaar main apne gosha-e-kam-tab mein hujum se dur udas nazron mein maddham diye jalae hue tum aain hansti hui aain barq ke manind mere qarib se kitni qarib se guzrin bhadakta shoala tha jaise wo gosha-e-kam-tab mere qarib ho aur kis qadar qarib ho aaj nazar nazar mein liye qahqahon ki tabani faza mein chand ki kirnen nikhar ke bikhri hain magar kabhi kabhi jis tarah koi saya sa tumhaari palkon se kuchh kah ke laut jata hai dabi dabi wahi sargoshiyan wahi aawaz ki is jamal o masarrat ki tah mein pinhan hai wo ruh-e-tira jise ek kiran nasib nahin mere qarib ho aur kitni dur ho mujh se khushi ka sath to hai aansuon ka sath nahin hanso aur itna hanso tum baras paden aankhen phir in sulagte hue aansuon mein bah jae wo dard aur wo duri jo qahqahon mein hai