dil-awez

tera chehra mere waste sari duniya ke phulon se afzal hua
kya hua jo koi dusra

us ki khushbu se manus ho kar use le uda
phul khushbu to sab ke liye ek jaise magar

un se mahzuz hote har ek shakhs ka
rang bhi mukhtalif dhang bhi mukhtalif

tum hasin ho aur apni nauiyat ki wahid hasin
dil-nashin

be-zarar
be-takalluf si masum si bakht-war

bakht-war kya tumhein ilm hai
mere dil mein bani ek imarat jise hum ne mil kar banaya larazne lagi hai

sutunon mein kham aa raha hai
mujhe is imarat ke bosida hone ka dukh hai

aur is dukh ki babat meri aankh ki putliyon mein zarurat se zyaada nami hai
meri zindagi mein khuda ka diya sab hai

bas ek tumhaari kami hai
jo shayad hamesha rahegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close